Bharosa
Bharosa tootne ki awaaz nahi hoti, Magar uske baad rishta pehle jaisa nahi rehta, Dil maaf kar deta hai, Lekin yaadein sab yaad rakhti hain.
Munna Momin
Life
The Collection
Every piece is published by hand. Search across titles, lines, authors, categories and tags — or start from the index and browse slowly.
11 pieces in life
Bharosa tootne ki awaaz nahi hoti, Magar uske baad rishta pehle jaisa nahi rehta, Dil maaf kar deta hai, Lekin yaadein sab yaad rakhti hain.
Munna Momin
Life
Waqt ne ek baat sikha di, Apna har woh nahi hota jo paas hota hai, Aur paraya har woh nahi hota jo door hota hai.
Munna Momin
Life
Sukoon chahiye toh umeedein kam kar do, Har shakhs se wafa ki umeed mat rakho, Kuch log sirf sabaq ban kar aate hain, Zindagi bhar saath dene nahi.
Munna Momin
Life
Har kisi ko jawab dena zaroori nahi, Kuch jawab waqt khud deta hai, Aur waqt ka diya hua jawab, Insaan kabhi bhool nahi paata.
Munna Momin
Life
Hum badle nahi hain, Bas samajhdaar ho gaye hain, Pehle har kisi ko apna samajhte the, Ab har kisi ko pehchanne lage hain.
Munna Momin
Life
Jahan baar baar apni ahmiyat samjhani pade, Wahan rehna bhi kya rehna, Behtar hai khamoshi se chale jao, Aur apni qadr apne saath le jao.
Munna Momin
Life
Khud ki qadr karna seekh lo, Log toh zaroorat ke mutabiq badalte hain, Aaj jo tumhein khaas samajhte hain, Kal shayad pehchanne se bhi inkaar kar dein.
Munna Momin
Life
Pyaar kab hua, pata hi nahi chala, tum kab meri aadat ban gaye, pata hi nahi chala. Ab haal ye hai ki din toh guzar jaata hai, par tumhare bina dil nahi lagta.
Munna Momin
Life
Zindagi ek kitaab hai, kuch panne khushiyon ke, Toh kuch safhe gham ke bhi likhe gaye hain. Jo har safha padh kar bhi muskurata hai, Asli qismat usi ke naam par likhi gayi hai.
Sameer Momin
Life
Yeh raat bhi guzar jaayegi, yaqeen rakh, Har sookhi aankh mein kahani baarish ki hai. Subah ka intezaar jinhe aata hai, Unhi ke liye savera apna raasta khud bana leta hai.
Sameer Momin
Life
Is shehar mein humne jo lamhe base the, Aaj wahi lamhe deewaron se baat karte hain. Raste wahi hain, manzilein badal gayi hain, Hum wahi hain, bas chalne ka andaaz badal gaya hai.
Sameer Momin
Life