Yaad
Yaad unki aati hai, Jinhein bhoolne ki koshish karte hain, Warna jo dil mein rehte hain, Unhein yaad karne ki zaroorat nahi hoti.
Munna Momin
Love
The Collection
Every piece is published by hand. Search across titles, lines, authors, categories and tags — or start from the index and browse slowly.
21 pieces in love
Yaad unki aati hai, Jinhein bhoolne ki koshish karte hain, Warna jo dil mein rehte hain, Unhein yaad karne ki zaroorat nahi hoti.
Munna Momin
Love
Akele chalne se kabhi darrna nahi, Raaste aksar wahi khoobsurat hote hain, Jahan bheed kam aur sukoon zyada hota hai.
Munna Momin
Love
Wafa ka matlab sirf saath rehna nahi, Balki door rehkar bhi sachcha rehna hai, Mohabbat alfaaz se nahi, Niyat se pehchaani jaati hai.
Munna Momin
Love
Mohabbat apni jagah khoobsurat hai, Magar khud ki izzat bhi zaroori hai, Jo tumhein mohabbat ke naam par tod de, Usay mohabbat kehna bhi galat hai.
Munna Momin
Love
Jo nazar-andaz kare, Usay nazar aana chhor do, Izzat-e-nafs ka taqaza hai, Jahan qadr na ho, wahan rukna chhor do.
Munna Momin
Love
Jo meri qadr nahi jaanta, Uske liye khud ko badalna kaisa, Jo dil se apna ho, Usay samjhane ki zaroorat hi kahan.
Munna Momin
Love
Main tumhe har pal chahoon, yeh zaroori toh nahi. Bas itna chahta hoon, jab bhi tumhe kisi apne ki zarurat ho, meri yaad sabse pehle aaye.
Sameer Momin
Love
Tum mile toh laga, shayad duaon ka bhi jawaab hota hai. Warna hum toh ye soch kar jeete the, ki har khoobsurat cheez sirf khwaab hoti hai.
Munna Momin
Love
Kisi kitaab mein tumhara zikr nahi mila, phir bhi har kahani tumse judi lagti hai. Pata nahi kaisa rishta hai tumse, har khushi tumhare naam ki lagti hai.
Munna Momin
Love
Tumse kuch kehna zaroori nahi lagta, tum meri khamoshi bhi padh leti ho. Isi baat ka toh pyaar hai mujhe, tum meri aankhon se bhi samajh leti ho.
Munna Momin
Love
Zindagi mein hazaar log milte hain, par koi ek dil mein utar jaata hai. Phir us ek insaan ki muskurahat ke liye, insaan khud se bhi zyada jeena chahta hai.
Munna Momin
Love
Raat kitni bhi khamosh kyun na ho, tera khayal shor macha deta hai. Aankhein band karta hoon sukoon ke liye, aur tera chehra saamne aa jaata hai.
Munna Momin
Love